Wednesday, April 7, 2010

Kyu Itne Bade Hum Ho Gaye?

A NOTE- THIS POEM IS NOT WRITTEN BY ME.

Kya wo din the...
Maa ki god aur papa ke kandhe,

Aaj yaad aa raha hai sab kuch choota jo peeche,

Rote rote so jaana,
Khud se baatain karna,
Kho jana...

Wo maa ka awaaz lagana,
Khana haatho se khilana..

Wo din bhar papa ka rasta takna,
Zid poori hone ka Intzaar karna...

Kya wo din the bachpan ke suhane,
Kyun itne door sab kuch ho gaye...

Ab zid bhi apni,
Sapne bhi apne,
Kis se kahe ke kya chahiye?

Manzilo ko dhoondhte hue hum kho gaye,
Kyun itne bade hum ho gaye...???

2 comments:

  1. Brother,

    is poem ko extend karne ki koshish ki hai.

    Gustaakhi Maaf :-

    Ab to yeh aalam hai , ki kabhi dikhti hai Manzil , to kabhi hoti hai ojhal.
    Yoon Manzil ki talaash mein apni pehchaan hi kho gaye .

    Jin raston se gujarte hain , un par kisi aur ke bhi Nishaan dhoondte hain .
    Na milne par, dar se khamosh hum ho gaye.

    Bewafai ksimat ne ki ya hum se hi hui koi khata .
    Yoon purani yaadon mein khud ko hi kho gaye.

    Hai ! Kyon itne bade hum ho gaye !!!!

    Now , If you r getting Santy, cheer urself up by looking at some eye soothing products avlbl at wallet soothing prices @ http://www.bestbrandsbestbuys.iglobul.com/

    This site i tooooo coooool .

    I am sure , you will be delighted with this e-shopping experience.

    Check my latest blog @ http://vikky-desi8heart.blogspot.com/2010/04/shopping-was-neevr-made-so-easy-as-its.html

    ReplyDelete
  2. Wow Vikram,
    Very nice yaar. I didn't knew that you are a poet. Great work. By the way it's not santy but senti. (No Offence) ;)

    ReplyDelete