Sunday, September 19, 2010

Ek bachpan ka zamana tha...

(Not by me, acchi lagi so posting)

Ek bachpan ka zamana tha,
Khushiyo ka khazana tha
chahat chand ko paane ki,
dil titli ka deewana tha...

khabar na thi kabhi subah ki,
aur na hi shaam ka thikana tha,
Thak haar ke aana school se,
Par khelne bhi jana tha...

Dadi ki kahani thi..
pariyo ka fasana tha..
baarish me kagaz ki naav thi,
har mausam suhana tha..

Har khel me saathi the,
Har rishta nibhana tha,
Gam ki jaban na hoti thi...
Na hi jakhmo ka paimana tha...

Rone ki wajah na thi,
Na hasne ka bahana tha,
Ab zindagi wo na rahi...


Jaisa BACHPAN KA ZAMANA THA...