Sunday, March 28, 2010

Aisa ho to kya baat ho....

A Small Note-First of all, before you all read this poem I'd like to tell that this poem is written by me some years ago and at that time some friends spread it all over. So you can find this poem at many places. Believing me or not is all up to you.
I think I should now start copy writing my creations so that I don't have to see suspicion in the eyes of people.
Now you can read-



Kitabo ke panne palat ke sochte hai,
Yu palat jaye zindagi to kya baat ho,

Tamanna jo poori ho khwabo me,
Haqikat ban jaye to kya baat ho,

Kuch log matlab ke liye dhundte hai mujhe,
Bin matlab ke koi aaye to kya baat ho,

Katl kar ke to sab le jayenge dil mera,
Koi baato se le jaaye to kya baat ho,

Jo sharifo ki sharafat me baat na ho,
Ek sharabi keh jaaye to kya baat ho,

Zinda rehne tak to khushi dunga sabko,
Kisiko meri maut pe khushi mil jaye to kya baat ho....

Friday, March 12, 2010

Waqt Nahi....

Har Khushi Hai logon ke daman main,
Par ek Hansi ke liye WAQT NAHI...

Din raat daudti dunaiya main,
Jeene ke liye WAQT NAHI...

Maa ki lori ka ehsaas to hai,
Par Maa ko Maa kehne ka WAQT NAHI...

Saare Rishton ko to hum maar chuke,
Ab unhe dafnaane ka bhi WAQT NAHI...

Saare naam mobile me hain,
Par dosti ke liye WAQT NAHI...

Gairon ki kya baat kare,
Jab apno ke liye hi WAQT NAHI...

Aankho me hai neend bhari,
Par sone ka bhi WAQT NAHI...

Tu hi bata e zindagi, is zindagi ka kya hoga,
ki har pal marne walo ko jeene ke liye bhi.......WAQT NAHI...